Bismillah irrahman Nirrahim
Hadith Qudsi: jab mera banda neki karne ka irada karta hai magar usko karta nahi to bhi main uske liye ek neki likh deta hu
Al Quran : Jo kuch neki (tum) aagey bhejogey apney wastey to usko Allah ke paas behtar aur badey Ajar ki cheez paogey aur Allah se bakhshish maango beshaq Allah Bakhshney wala aur nihayat Raham wala hai
{Surah Al-Muzzammil 73, #20}
Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki tum mein se koi shakhsh jab apney islam ko umdah bana le (yani Nifaq aur riya se paak kar le) to har neik kaam jo wo karta hai uskey ewaz 10 se lekar 700 guna tak nekiyan likhi jati hain aur har bura kaam jo wo karta hai wo utna hi likha jata hai ( jitna usney kiya)
{Sahih Bukhari, Vol.1, 42}
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai jab mera banda neki karne ka irada karta hai magar usko karta nahi to bhi main uske liye ek neki likh deta hu (kyunki usne neki irada kar liya tha) aur agar wo us neki ko kar leta hai to main us ek ke badle 10 se lekar 700 nekiya likh deta hu
aur jab kisi burayee ka irada karta hai aur agar wo usey nahi karta to main koi burayee uske liye nahi likhta aur agar karta hai to ek burayee hi likhta hu
{Sahih Muslim, Vol 1, 335}
--------------------------------------
Comments
Post a Comment