Featured Post

Hadith: Beshaq Deen aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhti ikhtiyar karega


Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Beshaq Deen aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhti ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega. 

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya beshaq Deen aasan hai aur jo shaksh deen mein sakhti ikhtiyar karega Deen us par ghalib aa jayega ( yani us ki sakhti na chal sakegi) islie apney Amal mein pukhtagi (continuity) ikhtiyar karo aur jahan tak mumkeen ho mayana rawi (naa bahoot zyada naa bahoot kam) barto aur khush ho jao , aur Subah ,Dopahar mein aur sham mein aur kis qadar raat mein (Ibadat se) madad hasil karo 
{Sahih Bukhari, Vol 1, 39} 

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di aur uski pairwi ki gayee to usko pairwi karney walon ke barabar gunaah milega aur pairwi karne walo ke gunah mein koi kami nahi hogi aur jis dawat dene walon ne hidayat ki taraf bulaya phir uski pairwi ki gayi to usko pairwi karney walo ke barabar Ajar milega aur pairwi karney walo ke Ajar mein kuch kami nahi ki jayegi
{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 205 -Sahih}

Dua:
(يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ)
Ya Muqallib al-Quloob, Thabbit Qalbi Ala Deenik
(Eh Dilon ko pherney waley mere dil ko apne deen (islam) par sabit rakh.)
--------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day