Featured Post

Hadith: kaunsa amal Allah Subhanahu ke najdik ziyada pasand hai?

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: kaunsa amal Allah Subhanahu ke najdik ziyada pasand hai?

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal Allah Subhanahu ke najdik ziyada pasand hai ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jis par hameshgi ki jaye (yani constantaly kiya jaaye) chahey wo thoda hi ho, aur farmaya ki Neik kaam karney mein itni hi takleef uthao jitni Taqat ho
{Sahih Bukhari, Vol7, 646}

Abdullah bin Masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha ki 
Allah taala ki baargah mein kaunsa Amal ziyada Mehboob hai, Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne faramaya apney waqt par namaz parhna, maine pucha iskey baad farmaya waldein ke saath neik suluq karna, mainey pucha iskey baad Aapney farmaya Allah ke raastey mein Jihad karna. 
{Sahih Bukhari, Vol 1, # 527} 
-----------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day