Featured Post

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam



Bismillahirrahmanirrahim

Part 9 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki Nabuwat se pahle jinnat aasmano mein jate aur chup kar kisi jagah par baithte aur kaan lagakar farishto ki baate sunte aur phir aakar kahino (nujumiyon) ko khabar dete aur wo kahin usmein jhooth milakar logo ko bayan karta magar jaise hi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam 
ko nabuwat ata huyee to aasmano mein pahre laga diye gaye aur jinnato ko is se rok diya gaya aur ike baad jab koi jinnat waha chori chupe jata to unko aag ke angaro se mara jata ( jisko aam zuban mein tut-ta hua sitara kahate hain) -
Tafseer ibn katheer , Al Quran , Surah Al-Jinn (78) verse 8-9
( Tashreeh : Sahih Muslim, Vol 2,1006)

Al Quran : (Jinno ki ek jamat ne kaha ki )
Humne aasmano ko tatola ( check kiya ) to usko mazbut chokidaro aur angaro se bhara paya
aur pahle to hum waha (aasmano mein) bahut se muqamat par (khabrein) sunne ke liye baitha karte they magar ab koi sunne ke liye jata hai to apne liye angar tayyar pata hai
Al Quran , Surah Al-jinn(78) 8-9

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ek sharkash Jinn kal raat mere samne aa gaya tha taaki wo meri namaz kharab kar sake lekin ALLAH subhanahu ne mujhko us par kudrat de di aur maine usko pakad liya phir maine chaha ki usko Masjid ke kisi sutoon se baandh du ki tum sab log bhi usko dekh lo magar mujhe mere bhai Sulaiman Alaihi salam ki dua yaad aa gaye ki Ya Allah mujhe aisee sultanat de jo mere siwa kisi ko na mile isliye maine usko namurad wapas kar diya

Sahih Bukhari, Vol 4,3423

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day