Featured Post

Mafhum-e-Hadith: Wudhu (Wuzu) ki ahmiyat aur uska sawab




Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Wudhu (Wuzu) ki ahmiyat aur uska sawab 

Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karey aur phir kahe ki 
Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu (Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam) Allah ke bande aur Rasool hain)

Aise shaksh ke liye jannat ke 8 darwaze khol diye janyege aur wo shaksh jannat ke jis darwaze se chahe dakhil ho jaye
Sunan nasaii, Vol1, 150 . ( Sahih)

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab koi muslim ya momeen banda wuzu karta hai aur munh dhota hai to to paani ke saath ya aakhri qatre ke saath uske munh se wo sab (sagirah) gunah nikal jate hain jo usne aankho se kiye, phir jab haath dhota hai to uske haatho mein se har ek gunah jo haath se kiye they wo pani ke saath ya aakhri qatre ke saath nikal jate hain , phir jab paanw dhota hai to uske paanwo mein se har ek gunah jo paanw se chalkar kiye they wo pani ke saath ya aakhri qatre ke saath nikal jate hain yahan tak ki wo sab gunaho se paak saaf hokar nikal jata hai
Sahih Muslim, Vol 1, 577

---------------------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day