Featured Post

Hadith: khana khilao aur salam karo usey bhi jisey tum pahchantey ho aur usey bhi jisey tum nahi pahchantey.



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: khana khilao aur salam karo usey bhi jisey tum pahchantey ho aur usey bhi jisey tum nahi pahchantey.

Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya khana khilao aur salam karo usey bhi jisey tum pahchantey ho aur usey bhi jisey tum nahi pahchantey.
{Sahih Bukhari,Vol.7, 6236}

Anas Bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab wo bachhcon ke pass se guzrey to unhoney bachchon ko salam kiya aur kaha ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam bhi aisa hi kiya kartey they (yani bachchon ko salam kartey they)
{Sahih Bukhari,Vol.7, 6247}

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day