Featured Post

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam



Bismillahirrahmanirrahim

Part 8 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

( Sahaba Radhi allahu anhuma ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se muhabbat)
---------------------------------------------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mainey dekha Hajjam Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi ka sir bana raha tha aur ashaab aapke ird gird they wo chahte they koi baal zameen par na girey , kisi na kisi ke haath mein girey 
Sahih Muslim , Vol 6, 6043
.
Abu Juhaifa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko ek Surkh chamde ke khaime (tent) mein dekha aur maine ye bhi dekha ki Bilal Radhi allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko wudhu kara rahe hain aur har shaksh (Sahaba) Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ke wudhu ka pani hasil karney ke liye ek dusrey se aage badhne ki koshish kar raha hai agar kisi ko thoda sa pani mil jata to wo usey apne upar Mal leta aur agar koi paani na pa sakta to apne saathi ke haath ki tari (moisture ) hasil karne ki koshish karta 
Sahih Bukhari, Volume 1, #376
.
Anas Radhi Allahu Anhu ne farmaya (Unki walida) Um Sulaim Radi Allahu Anha Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke liye chamdey ka farsh bicha deti thi aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam isi par Qailulla kartey ( yani din ke waqt thoda sa sotey ) they phir jab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam so gaye to Umm sulaim Radi Allahu Anha ne Aapka paseena aur baal le liye aur is ko (paseeney ko) ek sheeshi mein jama kar diya aur phir Suk ko ( ek tarah ki khushbu ko) usmey mila diya phir jab Anas bin malik Radhi Allahu Anhu ki wafat ka waqt kareeb aaya to unhoney waseeyat ki, ki is suk ( jismein Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ka paseena mila hua tha) ko unkey hanut ( ek tarah ki khhushbu jo Mayyat par lagatey hain) mein mila diya jaye 
Sahih Bukhari, Vol 7, 6281
---------------------------------------------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day