Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Kuch log Hauz-e-kauther se dur kar diye jayenge
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Mere kuch saathi mere hawz ( Al-kauther) par mere samney laye jayngey aur main unhey pahchaan lunga lekin phir unko mere samney se hata diya jayega, Main is par kahunga ki ye mere saathi hain , lekin mujhse kaha jayega ki Aapko maalum nahi ki unhoney Aap key baad kya kya naee cheezin Ejad kar lee thi.
{Sahih Bukhari, Vol 8, 6582}
Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne wa’az (speech) farmaya jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humney arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ye to rukhsat karney waley ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aapney farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiske din aur raat barabar hain is se wo hatega jo Halaq honey wala hoga
jo tum mein se zinda rahega wo bahut zyada ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena. aur tum par Itaat (ameer) lazim hai chahe wo (ameer) habshi ghulam ho, kyunki momeen nakel daale huye oont ki tarah hota hai jaise chalaya jata hai itaat karta hai
{Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 -Sahih}
Dua:
اللهم إني أسألك حبك وحب من يحبك ، والعمل الذي يبلغني حبك
Eh Allah main tujhse teri mohabbat aur har us shaksh ki mohabbat ka sawal karta hun jo tujhse mohabbat karta ho, aur us amal ki mohabbat ka jo mujhe teri mohabbat tak pahuncha de
{Jami` Tirmidhi : 3490 - Hasan}
---------------------------------------------------------------
Comments
Post a Comment