Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : jo bhi haraf tum surah fatiha aur surah baqara ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
------------
✦ Abdullah bin Abbas Radi allahu anhu ne kaha ki ek din jibril alaihi salam Nabi Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sir uthaya , to jibril alaihi salam ne kaha ki ye ek darwaza hai aasman ka jo aaj khula hai aur us se pahle kabhi nahi khula phir us se ek farishta utra jibril alaihi salam ne kaha ki ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra aur phir usne kaha ki khushkhabri ho aapko do nooro ki jo aapko inayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur nabi ko nahi mile ek surah fatiha hai aur dusri surah baqara ki aakhri aayatein , aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
Sahih Muslim, Jild 2, 1877
✦ Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009
---------------
Note : is hadith ka mafhum ye hai ki surah fatiha mein jo dua hai aur surah baqara ki aakhri aayaton mein jo dua hai wo isko padhne se qubul hogi
Comments
Post a Comment