Featured Post

Agar rivayat karne wala Ahl-e-sunnat hai to Hadith Qubul karenge aur agar Ahl-e-bidat mein se hai to Qubul nahi karenge

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Agar rivayat karne wala Ahl-e-sunnat hai to Hadith Qubul karenge aur agar Ahl-e-bidat mein se hai to Qubul nahi karenge 
--------------
عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، قَالَ لَمَّا أَحْدَثُوا تِلْكَ الأَشْيَاءَ بَعْدَ عَلِيٍّ - رضى الله عنه - قَالَ رَجُلٌ مِنْ أَصْحَابِ عَلِيٍّ قَاتَلَهُمُ اللَّهُ أَىَّ عِلْمٍ أَفْسَدُوا 
✦ Abu Ishāq radi allahu anhu se rivayat hai ki jab logo ne un baato ko jo hazrat Ali radi allahu anhu ke baad nikala (Yani unke naam se jhoothi hadith bayan ki) to hazrat Ali ke ek rafiq bole ,Allah unko tabah kar de ya un par lanat kare ki kis tarah se unhone ilm ko bigad diya
Sahih Muslim, Jild 1 , Muqadma, 24

قَالَ سَمِعْتُ الْمُغِيرَةَ، يَقُولُ لَمْ يَكُنْ يَصْدُقُ عَلَى عَلِيٍّ - رضى الله عنه - فِي الْحَدِيثِ عَنْهُ إِلاَّ مِنْ أَصْحَابِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ .
✦ Al-Mughīrah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki hazrat Ali radi allahu ke naam se jab koi hadith ki rivayat aati to unki rivayat nahi mani jati thi jab tak ki Abdullah ibn masood radi allahu anhu ke saathi uski tasdeeq nahi kar dete they(kyunki logo ne unke naam se jhoothi rivayat bayan karna shuru kar diya tha)
Sahih Muslim, Jild 1 , Muqadma, 25

عَنِ ابْنِ سِيرِينَ، قَالَ لَمْ يَكُونُوا يَسْأَلُونَ عَنِ الإِسْنَادِ، فَلَمَّا وَقَعَتِ الْفِتْنَةُ قَالُوا سَمُّوا لَنَا رِجَالَكُمْ فَيُنْظَرُ إِلَى أَهْلِ السُّنَّةِ فَيُؤْخَذُ حَدِيثُهُمْ وَيُنْظَرُ إِلَى أَهْلِ الْبِدَعِ فَلاَ يُؤْخَذُ حَدِيثُهُمْ .
✦ Ibn sirin radi allaahu anhu ne kaha ki pahle zamane mein koi hadith bayan karta to hum unse sanad nahi puchte lekin jab fitna phailne laga to logo ne kaha ki apni apni sanad bayan karo dekhnege agar rivayat karne wala Ahl-e-sunnat hai to hadith Qubul karenge aur rivayat karne wala agar Ahl-e-bidat mein se hai to unse hadith Qubul nahi karenge 
Sahih Muslim, Jild 1 , Muqadma, 27
-----------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day