Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-hadith- Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland
-------------------
✦ Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 466-Hasan
✦ Hazrat Hussain ibn Ali radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey
Jamia Tirmidhi, Vol2, #1469 – Sahih
✦ Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland hongey
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 -Sahih
✦ Abdullah bin Abi talha apney walid se rivayat karte hain ki ek din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef laaye to aapkey chehre Mubarak par khushi mehsus ho rahi thi to humney Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki aapkey chehrey Mubarak par khushi ki wajah kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya abhi mere pass Jibril tashreef laaye aur kaha ki ( Allah farmata hai) kya tum is baat se khush nahi ho ki tumhari ummat mein se jo shaksh ek martaba durud bhejega to main us par 10 rahmat nazil karunga aur tumhari ummmat mein se jo shaksh ek martaba Salam bhejega to main us par 10 martaba salamati bhejunga
Sunan Nasai, Vol 2, #1298-Hasan
✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho
Sunan Abu Dawud, vol2, 274-Sahih
Comments
Post a Comment