Featured Post

jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai to usko duguna ajar milega




Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai to usko duguna ajar milega 
-------------
✦ Al Quran: Dekho ye Quran ek naseehat hai, isliye jo chahe isko yaad rakhe, Qabil e Adab warqo mein likha hua jo buland muqam par aur paak hain, un likhne walon ki hatho mein jo buzurg aur neikokar hain (Jo kiramin barara hain)
Surah Abasa (80), 11-16

Hadith: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne mein mahir ho wo shakhs aise likhne wale (farishto) ke saath hoga jo buzurg aur nekokar (Kiramin-Bararah) hain aur jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai to usko duguna ajar milega
Jamia Tirmizi, Jild 2,813-Sahih

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day