Featured Post

Hadith: jisne ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: jisne ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi
-----------------
✦ Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki mainey Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi 

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ 

✦ Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim. 
usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisney ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi 
Raavi (Hadith rivayat karney waley) kahtey hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa) ho gaya tha to wo shaksh jisney unsey ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi allahu anhu par aur na Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya 
(Dua tarjumah: Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunney wala aur janney wala hai) 
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1647-Sahih

-----------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day