Featured Post

Hadith: Allah Subhanhu us bande par raham kare jo asar se pahle chaar rakaat (sunnat) padhe

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Allah Subhanhu us bande par raham kare jo asar se pahle chaar rakaat (sunnat) padhe 
-------------

✦ Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Asar se pahle 4 rakaat (sunnat) padhte they 
Jamia Tirmizi, Jild 2,410-Hasan

✦ Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanhu us bande par raham farmaye jo asar se pahle chaar rakaat (sunnat) padhe 
Jamia Tirmizi, Jild 2,411-Hasan
✦ Hazrat tameem dari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga 
Sunan Ibn Majah, Vol1, 1426 –Sahih

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day