Featured Post

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam (Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 1)✦ Part 15 -



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Part 15 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
(Maidan e mahshar mein Ummat ki shfaat – Part 1)
---------------------------
✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu Qayamat ke din jaise hum duniya mein jama hote hain usee tarah momeeno ko ekaththa kerega (woh garmi se pareshan ho kar) kahenge kash hum kisi ki sifarish apne maalik ke paas le jate taake humein apni is haalat se aaram mil jaye
Isliye sab mil kar Aadam Alaihi Salam ke paas aayenge, aur unse kahenge oh Adam Alaihi salam aap logo ka haal nahi dekhte kis balaa mein girftar hain. Aap ko Allah subhanahu ne ( khaas ) apne haath se banaya aur farishton se aap ko sajda karaya aur har cheez ke naam aap ko batlaye ( har zuban mein bolna baat karna sikhaya) kuch sifarish kijiye taaki hum logon ko is jagah se nijaat ho kar aaraam miley. Wo farmayenge main is layaq nahi, un ko wo khata yaad aa jayegi jo unhon ne ki thi ( mamnoo darakht mein se khana ), tum log aisa karo Nooh Alaihi Salam ke paas jao wo pahle Rasool hain jinko Allah Subhanahu ne zameen walon ki taraf bheja tha.

✦ Aakhir wo log sab Nooh Alaihi Salam ke paas aayenge, wo bhi yahi jawab denge, Main is Layaq nahi apni khata jo unhon ne (duniya mein) ki thi yaad karenge, wo bhi kahenge tum log aisa karo ibrahim alaihi salam ke paas jao jo Allah ke khalil hain ( log un ke paas jayenge) wo bhi apni khatayein yaad kar ke kahenge mein is layaq nahi tum moosa Alaihi Salam ke paas jao Allah ne un ko taurat inayat farmayee, un se bol kar baatein kee.
Sahih Bukhari, Jild 8, 7410 –Part 1


---------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day