Featured Post

Hadith: Nikah e mutah (temporary marriage) qayamat tak haram hai



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Nikah e mutah (temporary marriage) qayamat tak haram hai 

✦ Rabi bin Sabra al-Juhanni Radi Allahu Anhu apne walid se rivayat karte hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mutah (temporary marriage) karne se mana farmaya aur ye bhi farmaya ki aagah ho jao mutah aaj ke din se qayamat ke din tak haram hai aur jisne muta ke mahar mein kuch diya ho wo wapas na le
Sahih Muslim, Jild 4,3430

✦ Hazrat Ali Radi Allahu Anhu ne suna ki ibn abbas Radi Allahu Anhuma aurton se muta mein kuch dheel de rahe hain to unhone kaha thahar jao ki Eh Ibn Abbas , Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khaibar wale din se hamesha le liye muta (temporary marriage) karne aur paltu gadho ke gosht khane se mana farma diya hai 
Sahih Muslim, Jild 4, 3434

✦ Hazrat Ali Radi Allahu Anhu ne hazrat Abbas Radi Allahu Anhu se kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne jung e khaibar ke waqt se mutah (temporary marriage) karne aur paltu gadho ke gosht khane se mana farma diya
Sahih Bukhari, Jild 6, 5115

Notes: 
Temporary marrige yani mutah ....jab pahle zamane mein log safar karte ek jagah se dusri jagah ya kahi jung mein jate ..to unko ejazat thi ki wo Temporary marrige yani 3 din 10 din ek mahina ya ek saal is tarah contract sign karke nikah kar sakte ...aurat mard ki razamandi se aur uske baad contarct khatam nikah khatam ...but phir Nabee salallahu alahi wasallam ne 
 khaibar ki jung ke din se 
 
isko haram kar diya ..isliye kuch hadith mein aapko muta se related positive hadith milegni magar wo khaibar se pahle ki hain ..ab ye haram hai..magar  kuch shia firqe aaj bhi ye haram kaam karte hain ..Allah sabko hidayat ata farmaye

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day