Featured Post

Quran ki 2 aayatein padhna ya sikhana 2 oontniya hasil karne se behtar ha

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Mafhum-e-Hadith: Quran ki 2 aayatein padhna ya sikhana 2 oontniya hasil karne se behtar hai
---------
✦ Uqba bin Amir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam hamare paas aaye aur farmaya ki tum mein se kaun chahta hai ki roz subah ko Buthan ya Aqiq ko jaye (ye dono madina ke bazar they) aur waha se bagair kisi gunah ke aur bagair kisi rishtedar ki haq talfi ke do bade bade kuhan wali ootniya laye , humne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam hum sab isko chahte hain to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se jo koi masjid ki taraf jata hai ki wo Allah ki kitab se do aaytein khud padh le ya sikha de ye uske liye do oontniyo se behtar hai , aur teen(aayatein padhna ya sikhana) teen (oontniyo) se behtar hai , aur char (aayatein padhna ya sikhana) char se behtar hai is tarah aayaton ki tadad oontniyo ki tadad se behtar hai
Sahih Muslim, Jild 2 , 1873

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day