Featured Post

Hadith: Allah subhanhu khubusurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai


Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Allah subhanhu khubusurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai
------------
✦ Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo shakhs jannat mein nahi jayega jiske dil mein zarre ke barabar bhi gurur ya ghamand hoga , ek shakhs bola har ek aadmi chahta hai ki uske kapde achche ho aur uske jutey achche ho (to kya ye bhi gurur mein hai ) Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah khubusurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai, gurur ya ghamand ye hai ki insaan haq ko nahaq bata de aur logo ko haqeer samjhe
Sahih Muslim, Jild 1, 265

✦ Amr bin Shu'aib Radi Allahu Anhu apne walid se aur wo unke dada se rivayat karte hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu apne bande par apni naimat ka izahr pasand karta hai ( yani Allah subhanahu ki taraf se koi naimat ata ki gayee ho to usko chupana nahi chahiye)
Jamia Tirmizi, Jild 2, 723-Sahih 
------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day