Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith:jisne Quran majid mein se ek haraf padha to usko iske badle ek neki di jayegi aur har neki ka sawab das guna hai
------------
✦ Muhammad bin Ka'b Radi Allahu Anhu Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat karte hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Quran majid mein se ek haraf padha to usko iske badle ek neki di jayegi aur har neki ka sawab das guna hai main ye nahi kahta ki Alif-Laam-Meem (ek) haraf hai bulki Alif ek haraf hai Laam ek haraf hai aur meem bhi ek haraf hai ( yani koi musalman Alif-Laam-Meem padhda hai to usko 3 neki milti hain jiska sawab 30 nekiyo ke barabar hota hai)
Jamia Tirmizi, Jild 2, 819-Hasan
✦ Uthman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed padhey ( sikhey) aur padhaye ( sikhaye)
Sahih Bukhari, Vol 6 , 5028
------------
Comments
Post a Comment