Featured Post

Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishta muqarrar kar denge jo subah tak shaitan se uski hifazat karega



Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishta muqarrar kar denge jo subah tak shaitan se uski hifazat karega

-----------
✦ Umarah bin Shabib As-Sabai radi allahu anhu se farmaya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shakhs magrib ke baad 10 baar ye padhe
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ
 يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

Lā ilāha illallāh, waḥdahu lā sharīka lahu, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu, yuḥyi wa yumītu, wa huwa Aalā kulli shai’in qadīr
to Allah subhanahu uski hifazat ke liye farishta muqarrar kar denge jo subah tak shaitan se uski hifazat karega, uske liye 10 rahmat ki nekiya likh di jayegi, uske das barbad kar dene wale gunah maaf kar diye jayenge, aur 10 musalman gulam aazad karne ka sawab ata kiya jayega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1457-Hasan


✦ Tarjuma : Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi, wo Akela hai uska koi sharik nahi , mulk usee ka hai aur tamam taarif usee ke liye hai wahi, zindagi aur 

maut deta hai, aur wo har cheez par qadir hai
-----------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day