Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith:Sharab peene ka aadi jannat mein nahi jayega
---------------------
✦ Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Sharab na peena kyunki ye har burayee ki kunji hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 252-Hasan
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo duniya meinsharab peeye wo aakhirat mein (jannat ki) sharab se mehroom rahega
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 254-sahih
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Sharab peene ka aadi boot parast ki tarah hota hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 256-Hasan
✦ Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sharab peene ka aadi jannat mein nahi jayega
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 257-Hasan
Comments
Post a Comment