Bismillahirrahmanirrahim
✦ Jisne namaz mein surah fatiha nahi padhi to uski namaz puri nahi huyee
--------------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Jisne namaz mein surah fatiha nahi padhi to uski namaz puri nahi huyee aur uski namaz naqis (adhuri) hai, ye jumla Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne teen baar farmaya, Abu hurairah Radi allahu anhu se logo ne pucha ki jab hum imam ke peeche ho to kya kare? Unhone kaha ki us waqt tum aahista se surah fatiha padh liya karo, kyunki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ye farmate huye suna hai ki
✦ Allah subhanahu farmata hai namaz mere aur mere bando ke darmiyan aadhi aadhi taqseem ho chuki hai aur mera banda jo sawal karta hai wo pura kiya jata hai jab koi shakhs Al-hamdu lillahi Rabb il-'alamin kahta hai to Allah subhanahu farmata hai ki mere bande ne meri tarif ki
✦ aur jab Ar-Rahman Ar-Raheem kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne meri tausif ki,
✦ aur jab banda Maliki yawmi-d-Din kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne mere buzurgi bayan ki, aur ye bhi farmata hai ki mere bande ne apne sab kaam mere supurd kar diye
✦ aur namazi jab Iyya-ka na'budu wa iyya-ka nasta'in kahta hai to Allah subhanahu farmata hai ye mere aur mere bande ke darmiyan ka muamla hai mera banda jo sawal karega wo usko milega
✦ phir jab namazi apni namaz mein Ihdinassirat al-mustaqim , Sirat al-lazina an'amta 'alai-him , Ghair il-Maghdubi 'alai-him wa la-d-dallin kahta hai to Allah subhanahu farmata hai
ye sab mere is bande ke liye hai, jo wo talab karega usko diya jayega
Sahih Muslim, Jild 2, 878
---------------
Comments
Post a Comment