Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Tum jaante ho geebat kya hai ?
----------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Tum jaante ho geebat kya hai ? logo ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam hi khub jante hain , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Geebat ye hai ki tum apne bhai ka zikr is tarah karo ki (agar wo samne hota to) usko bura lagta , logo ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam agar hamare bhai mein wo aib mojud ho to , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (aib mojud ho ) wo hi to geebat hai
Agar usmein wo mojud na ho to wo bohtan hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6593
✦ Hadith: Huzaifa Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor ( Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 290
----------
Comments
Post a Comment