✦ Part 18 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka paseena mubarak
--------------------------------
✦ Anas Radi Allahu Anhu ne farmaya (Unki walida) Um Sulaim Radi Allahu Anha Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye chamdey ka farsh bicha deti thi aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam isi par Qailulla kartey ( yani din ke waqt thoda sa sote ) they phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam so gaye to Umm sulaim Radi Allahu Anha ne Aapka paseena aur baal le liye aur is ko (paseene ko) ek sheeshi mein jama kar diya aur phir Suk ko ( ek tarah ki khushbu ko) usme mila diya phir jab Anas bin malik Radi Allahu Anhu ki wafat ka waqt kareeb aaya to unhone waseeyat ki, ke is suk ( jismein Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ka paseena mila hua tha) ko unke hanut ( ek tarah ki khhushbu jo Mayyat par lagate hain) mein mila diya jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6281
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam (unki walida) umm sulaim Radi Allahu Anha ke ghar jaate aur unke bichone par sote they jab wo waha nahi hoti, ek din aap Sallallahu Alaihi wasallam tashrif laye aur unke bichone par so rahe wo aayee to logo ne ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam tumhare ghar mein bichone par so rahe hain ye sun kar wo aayee aur dekh ki aapko paseena aaya hua hai aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ka paseena chamdey ke bichone par jama ho gaya hai, umm suaim Radi Allahu Anha ne apna dibba khola aur paseene ko puch kar seeshiyon mein bharne lagi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ekdam se uth gaye aur farmaya ye kya kar rahe ho ?, umm sulaim Radi Allahu Anha ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humne ye (aapka paseena ) apne bachcho ke barkat ke liye liya hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tumne sahi kiya
Sahih Muslim, Jild 5, 6056
------------------------
Comments
Post a Comment