Featured Post

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 5. Al-isra wa Al-Mairaj ✦ Part 23

Bismillahirrahmanirrahim


✦ Part 23 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

✦ 5. Al-isra wa Al-Mairaj 

--------------



✦ (Musa alaihi salam ne kaha) aap apne RAB ke huzur dobara jaiye aur apni ummat per takhfif ke liye arz kijiye. Chunanche Main Allah ke darbaar me dubara hazir hua , aur takhfif ke liye arz ki to das (10) waqt ki namazein kam kar di gayee. Phir mai jab wapas Musa Alaihi Salaam ke paas se guzra to unhone fir wahi sawaal kiya, main dobara bargahe Rabbul Ezzat me hazir hua aur is martaba bhi das (10) waqt ki namazein kam huyee. Fir mai Musa Alaihi salam ke paas se guzra to unhone wahi mutalba kiya , maine is martaba bhi Allah subhanahu ki baargah me hazir ho kar phir se das (10) namaazein kam karwayee. Musa Alaihi salam k paas se fir guzar hua unhone apni raye ka izhaar kiya, fir bargahe ilahi me mai hazir hua to mujhe das (10) waqt ki namazon ka hukm hua, mai wapas hone laga to aapne fir wahi kaha. Ab bargahe ilahi me hazir hua to rozana sirf paanch (5) waqt ki namazon ka hukm baqi raha. 



✦ Musa Alaihi salam ke paas aaya to aapne daryaaft farmaya Ab kya hukm hua? Maine hazart Musa Alaihi salam ko bataya ki rozana paanch waqt ki namazon ka hukm hua hai. Farmaya ki aapki ummat iski bhi taaqat nahi rakhegi mera wasta aapse pahle logon se padh chuka hai aur Bani israeel ka mujhe talkh tajurba hai, apne RAB k darbaar me fir se hazir ho kar takhfif ke liye arz kijiye. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya main Allah subhanahu se bohot sawaal kar chuka aur ab mujhe sharm aati hai. Ab mai bas is per razi hoon. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ke phir jab main waha se guzarne laga to aawaz aaii" Maine apna fariza jaari kar diya aur apne bandon per takhfif kar chuka

Sahih Bukhari, Jild 5, 3887



✦ Anas Bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam par shab-e-mairaj mein pachas (50) namazein farz ki gayee phir kami ki gayee yahan tak ki paanch (5) rah gayee phir aawaz di gayee ki Eh Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam hamare qaul mein tabdili nahi aati , in paanch Namazon ke badley pachas ka sawab milega 

Jamia Tirmidhi, Vol 1, 203-Sahih



-------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day