Featured Post

Hadith: Har mahine 13, 14, aur 15 ke roze rakhne ka sawab hamesha roze rakhne ke barabar hai



Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Har mahine 13, 14, aur 15 ke roze rakhne ka sawab hamesha roze rakhne ke barabar hai
-----------------
✦ Qatadah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humko Ayyam Al-baid yani har mahine mein 13,14, aur 15 tarikh ke roze rakhne ka hukm farmate aur ye bhi farmaya ki iska sawab itna hai jitna hamesha roze rakhne ka 
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 677 -Sahih

✦ Jarir bin 'Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya har maah mein teen roze rakhna hamesha ke (zindagi bhar) roze rakhne ke barabar hai, Aur chamkte huye Ayaam Al baid 13, 14, aur 15 hain
(inko Ayyam Al baid isliye kahte hain kyunki in raato mein chand ki roshni ekdam safed aur saaf hoti hai )
Sunan Nasaii, jild 2,331-Sahih

✦ Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tumko mahine mein kabhi bhi roze rakhne ho to 13,14 aur 15 tarikh ka roza rakho
Sunan Nasaii, Jild 2,335-Hasan
-----------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day