Featured Post

o deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith : Jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai
--------------
✦ Abu Tufail Amir se rivayat hai ki main hazrat Ali Radi Allahu Anhu ke pass baitha tha itne mein ek shakhs aaya aur kahne laga Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aapko kuch chup kar (secretaly) batlaya hai , to Hazrat Ali Radi Allahu Anhu naraz huye aur kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe aisee koi cheez nahi batlayee jo dusro se chupa li ho, siwaye chaar baato ke , wo shaksh kahne laga ki Eh Ameerul momeneen wo baatein kaunsi hain to hazrat Ali Radi Allahu Anhu ne kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmayee Jo apne walid par laanat kare us par Allah ki laanat hai , jo Allah ke siwa kisi aur ke liye Qurbani kare us par bhi Allah ki laanat hai, jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai aur jo zameen ke nishan (boundry line) ko badal de us par bhi Allah ki laanat hai
Sahih Muslim, Jild 5 , 5124
---------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day