Featured Post

Rajab ke roze

Bismilillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: Rajab ke roze

----------
✦ Uthman bin Hakim Ansari Radi allahu anhu se rivayat hai ki unhone saeed bin zuber Radi Allahu anhu se Rajab ke rozo ke bare mein pucha aur ye sawal Rajab ke mahine mein hi kiya to unhone kaha ki maine ibn Abbas Radi Allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam (lagatar) roze rakhte they aur itne rakhte they ki hum samajhte they ki ab iftar nahi karenge , aur iftar karte they yaha tak ki hum samajhte ab roze nahi rakhenge
Sahih Muslim , Jild 3 , 2726


✦ Abu Zarr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allalhu laihi wasallam ne mujhe teen baato ki waseeyat farmayee jo main in sha Allah kabhi nahi chorhunga , pahla Chasht (Duha) ki namaz padhne ki aur dusra sone se pahle witr ki namaz ada kar lene ki aur teesra har mahine 3 din roza rakhne ki
Sunan Nasaii, Jild 2, 315 -Sahih
----------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day